Limits of your love
Poet
Alama Iqbal
Pen Name(s)
Iqbal
Translation in Rhyme
Translation in Prose
Transliteration
Escape
Poet
Sahir Ludhianvi
Pen Name(s)
Sahir
Translation in Rhyme
Translation in Prose
Transliteration
Disciplines of love
Poet
Ahmad Faraz
Pen Name(s)
Faraz
Translation in Rhyme
Translation in Prose
Transliteration
ye kya ke sab se bayaṇ dil kī hālateṇ karnī
Faraz tujh ko na āyīṇ mohabbateṇ karnī
ye qurb kya hai ki tū sāmne hai aur hameṇ
shumār abhī se judaī ki sā’ateṇ karnī
koī Khudā ho ke patthar jise bhī hum chāheṇ
tamām umr usī kī ibādateṇ karnī
sab apne apne qarīne se muntazir us ke
kisī ko shukr kisī ko shikāyateṇ karnī
hum apne dil se hī majbūr aur logoṇ ko
zarā sī bāt pe barpā qayāmateṇ karnī
mileṇ jab un se tho mubham sī guftugū karnā
phir apne āp se sau sau wazāhateṇ karnī
ye log kaise magar dushmanī nibhāthe haiṇ
hameṇ tho rās nā āiṇ mohabbateṇ karnī
kabhī Faraz nae mausamoṇ meiṇ ro denā
kabhī talāsh purānī rifaqateṇ karnī
Popular Posts
Limits of your love
Poet Alama Iqbal Pen Name(s) Iqbal Translation in Rhyme In quest, I seek your boundless love’s end, See my simplicity, what task I contend. A
Escape
Poet Sahir Ludhianvi Pen Name(s) Sahir Translation in Rhyme Haunted by the specter of my bygone days, Each moment a regret, a weary maze. Shame
Disciplines of love
Poet Ahmad Faraz Pen Name(s) Faraz Translation in Rhyme In lament you dwell, heart heavy with strife,Faraz, love’s disciplines elude your grasp, a rife. What proximity,
Latest